Woh kal hee ki toh baat thi,

Jo aaj hothon par aakar bikhar gayi,

Teri ek jhalak ne, jo khwabon mein ghar kar gayi theen

Aur Woh khamoshi bhi aaj fir se nikhar gayi.

Uss rozz, jab guzri thi saamne se in naino ke,

Dil ne dhadkan ka raaz khud hi bata diya,

Kuch kehne ko lab thame rahe, par aankhon ne, Sab kuch ek pal mein hee jata diya

Zamana toh mustakbil sang chal gaya aage raahon par

Par mera kaafila wahin uss pal mein tham gaya

Woh tere chehre ki muskan aur tera woh aankhon ka noor

dil ke ashqon par mere kar na jaane kitne sitam gaya

Tujhse lagan toh iss zehnaseeb rooh ka afsana hai,

dil toh yeh ishq ka hee mukhbir hai

Aaj tujhse milne ka jo silsila hai yeh,

yaadon, khwaabon aur iradon mein dilnashin hai

Woh kal hee ki toh baat thi,

Jo ab dil mein naghme si baj uthi hai,

Issi khushgawar mulakat s

meri poori duniya saj uthi hai